Wednesday, June 17, 2009

sun ma

sun ma:
ma kuch din tu aur na jaati.
meri saari vyatha sun jaati.
ma jab se tu chali gai hai.
murjha mann ki kali gai hai.
mere mann se kasak na jaati.
ma kuch din tu aur na jaati.

-bahu dekh tu khush ho jaati.
nati pote khoob khilati.
ma kuch din tu aur na jaati.

-ma
teez tyohaar to aab bhi aate.
pehle si raunak na laate.
tu saare din shor machati.
daud daud kar cheeze laati.
tu saare tyohaar manati.
ma kuch din tu aur na jaati.

aab raunak ghar se chali gai hai.
suni mann ki gali hui hai.
ghar me tann mann khoob lagaya.
per mein tujhko samajh na paaya.
jab aasu tere yaad aate hai.
sagar sa mann bhar jaate hai.
behena se mein aab kabhi na ladta.
papa ko bhi pyar hu karta.

-apna achcha beta dekh kar jaati.
pyara appu dekh kar jaati.
bus mere mann se kasak na jaati.
ma kuch din tu aur na jaati.

[ just to clarify the confusion : I have not written it. My mom has written it. The whole credit goes to her.]